Monday, 24 October 2011

UDAAN


panchiyo ke paro par pehre lage hain
koi udaan ho to bhi to kaise ?
har parinde ko zakham gehre lage hain
koi udaan ho bhi to kaise ?

shikaari ki chaahat jaal se badi ho gayi hai
le kar ghinauna roop chheen lene ki hasrat khadi ho gayi hai
kisi adhikaar ka aise mein
sammaan ho bhi to kaise ?
koi udaan ho bhi to kaise ?

seenchne ko jise diya tha darakht usi ne shaakhein kaat di
banaya baaghbaan jise kyariyo mein usne sarhadein baant di
fir kisi koyal ka kisi daal par
makaan ho bhi to kaise ?
koi udaan ho bhi to kaise ?

dhue ki hod mein mitti ki khushbu bhula di
khudgarz aaj ki aivaz kal ki naslein mita di
pooja bahot ko magar pehle khud ko jagah di
socho ye duniya humne kya se kya bana di
ab wo pehle sa haseen
jahan ho bhi to kaise ?
jab kadr hi na ho kahin to
koi udaan ho bhi to kaise ?




PRASHANT RANA
wo parinde khwabo ke jinhein sarhadein nahi roka karti thi aaj apne aashiyane ki shaakho mein uljhe pade hain wo jinki fidrat thi parvaaz pe parvaaz tay karna aaj zameen par ondhe pade hain

No comments:

Post a Comment